Tuesday, December 2, 2008

یہ ایک بہت ہی ومدہ ویب سایٹ ھیے جس پر اردو ادب کی بہت سی کہانیاں اور رسالہ جات موجود ہیں اس کہ علاوہ ٓاپ اس ویب پر درخواست کر کے بھی کہانیاں شایع کراسکتے ھیں۔
لنک نیچے موجود ھے۔ اس کو ضرور وزٹ کریں۔

Urdu Rasala

agar kuch naam dena ho .

Agar kuch naam daina ho
Mujhe insan mat kehna
Juda chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hain
Magar insaniyat ke ab yahan per daam hotay hain
Mairy tum daam matt daina
Mujhay yeah naam mat daina

Agar kuch naam daina ho
Mujhay Ehsas keh daina
Magar Thehroooo!
Mujhay Ehsas mat kehna
Maira bus naam reh jaye
Mujhay aisay nahin rehna
Mujhay Ehsas mat kehna

Agar kuch naam daina ho
Mujhay Saawan hi keh daina
Magar thehroooo!
Mujhay Saawan nahin kehna
Barasta hai magar
Rut ke badaltay, beet jata hai
Mujhay Saawan nahin kehna
Agar kuchh naam daina ho

Mujhay Aansoo hi keh daina
Janam laina kisi ki ki aankh main
Rukhsar per merna
Yahi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansoo hi keh dainaa
Magar daikho!
kisi ki aankh main mujh ko kabhi

Aanay nahin daina
K qeemat aansoon ki ab adaa tum se nahin ho gee
Nahin tum yun nahin kehnaa
Mujhay aansoo nahin kehnaa
Mujhay aankhon main bastaa ik haseen sapna hi keh daina
Haqeeqat kuchh nahin jis ki
Chalo sapnaa hi keh daina

Ke sapnay aankh main taaron ki tarhaa jhilmilaatay hain
Magar thehrooooo!
Mujhay sapnaa nahin kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hain
Mujhay Apna Nahin Kehna
Ke Apnay Rooth jaatay hain

Dosti...

Woh Mujh Se Aksar Pochta Tha
Ke
Tumhain Agar "DOSTI" Ya Muhabbat
Main Se intikhab Karna Para
To Kisay Karo Gi?

Aur Main Hans Ker Keh Deti Thi
Dono Sorton Main Mera
Intikhab Sirf Tum Ho Gaye
Kion Ke
Tum Hi Mere Dost Ho
Aur Tum Hi Mere Mehboob

(Aur Aaj Taqdeer Mujh Per Hansti Hai
Kion Ke
Aaj Mere Pass Dost Hai
Aur Na Mehboob)

KAHIN DIL CHORD AYE HO ?

KAHIN DIL CHORD AYE HO ?

Buhat Chup chup Se Rahtay Ho
Na Bantay Ho , Sanwertay Ho

Na Koi baat Kartay Ho
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar

Hamesha Khoye Rehtay Ho
Udaasi Ankh Main Ley Kar

Har ik Chehray Ko Taktay Ho
Koi jab Yaad Ata Hai

To Thandee Aah Bhartay Ho
To Khul Kar Kion Nahin Kehtay

Kis Se Pyaar kartay ho
Kahan Dil Choor Aye Ho ??????????

Kuch Maray Dil se

Kaha tha na.......

is tarha sotay howe chorde ke mut jana
mujhe beshak jaga dena,
bata dena

ke tumhain rasta badlna hai,
mairy hud say nikalna hai,


Tumhain kiss baat ka durr tha ??????????
kia main janay nahin daita?
kahin pay qaid kar laita??????

aray pagal mohabbat ki tabiat main zabardasti nahin hoti
jissay rasta badlna hai ussay rasta badlanay say
jissay hud say nikalna ho ussay hud say nikalnay say

na koi rok paya hai na koi rok payega

tumhain kiss baat ka durr thaaa???????

mujhe jaga daitay


bus yeah yaad rakhna ae hum dum
ab in jagti ankhon mai
khuwab tumharay he bastay hain
in ankhon ke ansoonoon main
tumhary yaadoon ke deep
ban ke mom chalaktay hain


bus yaad yeah rakhna ae mairay hum dum
in ankoon ki roshni kay bujhnay tak
main intezar ke deep jalaonga
mairay ghar ke rastay pay
tairy qadmoon ki ahat ko sun ke he jaonga

apni sansoon ke thumnay tuk
apnay jism ke marnay tuk
tujhe dil main basoonga

bus taira kahlaooonga

ke sansoon ke thamnay ki wajha bhi sirf yahi ho gi

"is dunia main na sahi , agli dunia main to mairy ho gii"

"MOHABBAT chor di HUM ne".

Abhi jab lout kar phir TUM hamaray dur pe aye ho,


Ye TUM se keh diya kis ne,

k TUM bin reh nahi sakte,

k ye dukh seh nahi sakte,

Chalo ye maan laitey hein,

k TUM bin HUM bohat roye,

kai ratoon ko na soye,

Magar ek baat hai JANA,

K TUM nakaam louto ge,

Ager TUM janna chaho,

k aisa kion kiya HUM ne,

To sun lo ghour se JANA,

Purani ik riwayat torde di HUM ne,


"MOHABBAT chor di HUM ne"


"MOHABBAT chor di HUM ne".

Suno!

Suno!
Main thak gaya hoon
Mery Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain
mery neendoon main tere wasal ka resham ulajhta hai
meray ansoo meray chehre pe teray gham ko likhtay hain
Meray ander kai sadiyun ke sannatoon ka daira hai
Meray alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain
Magar main thakk gaya hoon
Aur main ne khamoshi ki goad main sir rakh dia hai

Main baloon main
Tumharay hijer ki naram ungliyan mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh ki soorat
Tumharay wasal ka resham bhi ab neendain nahin bunta
Mery aankhoon main jaisay THAR kay mausam ka basera hai
Mujhay ander ke sannatoon main gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay day